Jaun Eliya

kya yaqin aur kya guman chup rah

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
kyā yaqīñ aur kyā gumāñ chup rah
shaam kā vaqt hai miyāñ chup rah
ho gayā qissa-e-vajūd tamām
hai ab āġhāz-e-dāstāñ chup rah
maiñ to pahle hī jā chukā huuñ kahīñ
tū bhī jānāñ nahīñ yahāñ chup rah
tū ab aayā hai haal meñ apne
jab zamīñ hai na āsmāñ chup rah
tū jahāñ thā jahāñ jahāñ thā kabhī
tū bhī ab to nahīñ vahāñ chup rah
zikr chheḌā ḳhudā kā phir tū ne
yaañ hai insāñ bhī rā.egāñ chup rah
saarā saudā nikāl de sar se
ab nahīñ koī āstāñ chup rah
ahrman ho ḳhudā ho yā aadam
ho chukā sab kā imtihāñ chup rah
darmiyānī hī ab sabhī kuchh hai
tū nahīñ apne darmiyāñ chup rah
ab koī baat terī baat nahīñ
nahīñ terī tirī zabāñ chup rah
hai yahāñ zikr-e-hāl-e-maujūdāñ
tū hai ab az-guzishtagāñ chup rah
hijr kī jāñ-kanī tamām huī
dil huā 'jaun' be-amāñ chup rah
Top Urdushayar.com