dil ne vafā ke naam par kār-e-vafā nahīñ kiyā
ḳhud ko halāk kar liyā ḳhud ko fidā nahīñ kiyā
ḳhīra-sarān-e-shauq kā koī nahīñ hai jumba-dār
shahr meñ is giroh ne kis ko ḳhafā nahīñ kiyā
jo bhī ho tum pe mo'tariz us ko yahī javāb do
aap bahut sharīf haiñ aap ne kyā nahīñ kiyā
nisbat ilm hai bahut hākim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kār-e-jahl bhī be-ulamā nahīñ kiyā
jis ko bhī shaiḳh o shaah ne hukm-e-ḳhudā diyā qarār
ham ne nahīñ kyā vo kaam haañ ba-ḳhudā nahīñ kiyā