kab us kā visāl chāhiye thā
bas ek ḳhayāl chāhiye thā
kab dil ko javāb se ġharaz thī
hoñToñ ko savāl chāhiye thā
shauq ek nafas thā aur vafā ko
pā-e-mah-o-sāl chāhiye thā
ik chehra-e-sāda thā jo ham ko
be-misl-o-misāl chāhiye thā
ik karb meñ zāt-o-zindagī haiñ
mumkin ko muhāl chāhiye thā
maiñ kyā huuñ bas ik malāl-e-māzī
is shaḳhs ko haal chāhiye thā
ham tum jo bichhaḌ ga.e haiñ ham ko
kuchh din to malāl chāhiye thā
vo jism jamāl thā sarāpā
aur mujh ko jamāl chāhiye thā
vo shoḳh ramīda mujh ko apnī
bāñhoñ meñ niDhāl chāhiye thā
thā vo jo kamāl-e-shauq-e-vaslat
ḳhvāhish ko zavāl chāhiye thā
jo lamha-ba-lamha mil rahā hai
vo sāl-ba-sāl chāhiye thā