Jaun Eliya

uske pahlu se lag ke chalte hain

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
us ke pahlū se lag ke chalte haiñ
ham kahīñ Tālne se Talte haiñ
band hai mai-kadoñ ke darvāze
ham to bas yūñhī chal nikalte haiñ
maiñ usī tarah to bahaltā huuñ
aur sab jis tarah bahalte haiñ
vo hai jaan ab har ek mahfil kī
ham bhī ab ghar se kam nikalte haiñ
kyā takalluf kareñ ye kahne meñ
jo bhī ḳhush hai ham us se jalte haiñ
hai use duur kā safar dar-pesh
ham sambhāle nahīñ sambhalte haiñ
shaam furqat kī lahlhā uThī
vo havā hai ki zaḳhm bharte haiñ
hai ajab faisle kā sahrā bhī
chal na paḌiye to paañv jalte haiñ
ho rahā huuñ maiñ kis tarah barbād
dekhne vaale haath malte haiñ
tum bano rañg tum bano ḳhushbū
ham to apne suḳhan meñ Dhalte haiñ
Top Urdushayar.com