Jaun Eliya

dhup uThata hun ki ab sar pe koi bar nahin

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
dhuup uThātā huuñ ki ab sar pe koī baar nahīñ
beach dīvār hai aur sāya-e-dīvār nahīñ
shahr kī gasht meñ haiñ sub.h se saare mansūr
ab to mansūr vahī hai jo sar-e-dār nahīñ
mat suno mujh se jo āzār uThāne hoñge
ab ke āzār ye phailā hai ki āzār nahīñ
sochtā huuñ ki bhalā umr kā hāsil kyā thā
umr-bhar saañs liye aur koī ambār nahīñ
jin dukānoñ ne lagā.e the nigah meñ bāzār
un dukānoñ kā ye ronā hai ki bāzār nahīñ
ab vo hālat hai ki thak kar maiñ ḳhudā ho jā.ūñ
koī dildār nahīñ koī dil-āzār nahīñ
mujh se tum kaam na lo kaam meñ laao mujh ko
koī to shahr meñ aisā hai ki be-kār nahīñ
yād-e-āshob kā aalam to vo aalam hai ki ab
yaad mastoñ ko tirī yaad bhī darkār nahīñ
vaqt ko suud pe de aur na rakh koī hisāb
ab bhalā kaisā ziyāñ koī ḳharīdār nahīñ
Top Urdushayar.com