Jaun Eliya

daulat-e-dahr sab luTai hai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
daulat-e-dahr sab luTā.ī hai
maiñ ne dil kī kamā.ī khaa.ī hai
ek lamhe ko tiir karne meñ
maiñ ne ik zindagī gañvā.ī hai
vo jo sarmāya-e-dil-o-jāñ thī
ab vahī aarzū parā.ī hai
tū hai āḳhir kahāñ ki aaj mujhe
be-tarah apnī yaad aa.ī hai
jān-e-jāñ tujh se dū-badū ho kar
maiñ ne ḳhud se shikast khaa.ī hai
ishq mere gumān meñ yārāñ
dil kī ik zor āzmā.ī hai
us meñ rah kar bhī maiñ nahīñ us meñ
jāniye dil meñ kyā samā.ī hai
mauj-e-bād-e-sabā pe ho ke savār
vo shamīm-e-ḳhayāl aa.ī hai
sharm kar tū ki dasht-e-hālat meñ
terī lailā ne ḳhaak uḌaa.ī hai
bik nahīñ pā rahā thā so maiñ ne
apnī qīmat bahut baḌhā.ī hai
vo jo thā 'jaun' vo kahīñ bhī na thā
husn ik ḳhvāb kī judā.ī hai
Top Urdushayar.com