dil kī har baat dhyān meñ guzrī
saarī hastī gumān meñ guzrī
azal-e-dāstāñ se is dam tak
jo bhī guzrī ik aan meñ guzrī
jism muddat tirī uqūbat kī
ek ik lamha jaan meñ guzrī
zindagī kā thā apnā aish magar
sab kī sab imtihān meñ guzrī
haa.e vo nāvak-e-guzārish-e-rañg
jis kī jumbish kamān meñ guzrī
vo gadā.ī galī ajab thī ki vaañ
apnī ik ān-bān meñ guzrī
yuuñ to ham dam-ba-dam zamīñ pe rahe
umr sab āsmān meñ guzrī
jo thī dil-tā.eroñ kī mohlat-e-būd
tā zamīñ vo uḌaan meñ guzrī
buud to ik takān hai so ḳhudā
terī bhī kyā takān meñ guzrī