Jaun Eliya

hum tera hijr manane ke liye nikle hain

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ham tirā hijr manāne ke liye nikle haiñ
shahr meñ aag lagāne ke liye nikle haiñ
shahr kūchoñ meñ karo hashr bapā aaj ki ham
us ke va.adoñ ko bhulāne ke liye nikle haiñ
ham se jo ruuTh gayā hai vo bahut hai ma.asūm
ham to auroñ ko manāne ke liye nikle haiñ
shahr meñ shor hai vo yuuñ ki gumāñ ke safarī
apne hī aap meñ aane ke liye nikle haiñ
vo jo the shahr-e-tahayyur tire pur-fan me.amār
vahī pur-fan tujhe Dhāne ke liye nikle haiñ
rahguzar meñ tirī qālīn bichhāne vaale
ḳhuun kā farsh bichhāne ke liye nikle haiñ
hameñ karnā hai ḳhudāvand kī imdād so ham
dair-o-ka.aba ko laḌāne ke liye nikle haiñ
sar-e-shab ik na.ī tamsīl bapā honī hai
aur ham parda uThāne ke liye nikle haiñ
hameñ sairāb na.ī nasl ko karnā hai so ham
ḳhuun meñ apne nahāne ke liye nikle haiñ
ham kahīñ ke bhī nahīñ par ye hai rūdād apnī
ham kahīñ se bhī na jaane ke liye nikle haiñ
Top Urdushayar.com