Jaun Eliya

na koi hijr na koi visal hai shayad

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
na koī hijr na koī visāl hai shāyad
bas ek hālat-e-be-māh-o-sāl hai shāyad
huā hai dair-o-haram meñ jo mo.atakif vo yaqīn
takān-e-kashmakash-e-ehtimāl hai shāyad
ḳhayāl-o-vahm se bartar hai us kī zaat so vo
nihāyat-e-havas-e-ḳhadd-o-ḳhāl hai shāyad
maiñ sat.h-e-harf pe tujh ko utaar laayā huuñ
tirā zavāl hī merā kamāl hai shāyad
maiñ ek lamha-e-maujūd se idhar na udhar
so jo bhī mere liye hai muhāl hai shāyad
vo inhimāk har ik kaam meñ ki ḳhatm na ho
to koī baat huī hai malāl hai shāyad
gumāñ huā hai ye amboh se javāboñ ke
savāl ḳhud hī javāb-e-savāl hai shāyad
Top Urdushayar.com