ai vasl kuchh yahāñ na huā kuchh nahīñ huā
us jism kī maiñ jaañ na huā kuchh nahīñ huā
tū aaj mere ghar meñ jo mehmāñ hai iid hai
tū ghar kā mezbāñ na huā kuchh nahīñ huā
kholī to hai zabān magar is kī kyā bisāt
maiñ zahr kī dukāñ na huā kuchh nahīñ huā
kyā ek kārobār thā vo rabt-e-jism-o-jāñ
koī bhī rā.egāñ na huā kuchh nahīñ huā
kitnā jalā huā huuñ bas ab kyā batā.ūñ maiñ
aalam dhuāñ dhuāñ na huā kuchh nahīñ huā
dekhā thā jab ki pahle-pahal us ne ā.īna
us vaqt maiñ vahāñ na huā kuchh nahīñ huā
vo ik jamāl jalvā-fishāñ hai zamīñ zamīñ
maiñ tā-ba-āsmāñ na huā kuchh nahīñ huā
maiñ ne bas ik nigāh meñ tai kar liyā tujhe
tū rañg-e-bekarāñ na huā kuchh nahīñ huā
gum ho ke jaan tū mirī āġhosh-e-zāt meñ
be-nām-o-be-nishāñ na huā kuchh nahīñ huā
har koī darmiyān hai ai mājrā-farosh
maiñ apne darmiyāñ na huā kuchh nahīñ huā