dil kā dayār-e-ḳhvāb meñ duur talak guzar rahā
paañv nahīñ the darmiyāñ aaj baḌā safar rahā
ho na sakā hameñ kabhī apnā ḳhayāl tak nasīb
naqsh kisī ḳhayāl kā lauh-e-ḳhayāl par rahā
naqsh-garoñ se chāhiye naqsh o nigār kā hisāb
rañg kī baat mat karo rañg bahut bikhar rahā
jaane gumāñ kī vo galī aisī jagah hai kaun sī
dekh rahe ho tum ki maiñ phir vahīñ jā ke mar rahā
dil mire dil mujhe bhī tum apne ḳhavās meñ rakho
yārāñ tumhāre baab meñ maiñ hī na mo'tabar rahā
shahr-e-firāq-e-yār se aa.ī hai ik ḳhabar mujhe
kūcha-e-yād-e-yār se koī nahīñ ubhar rahā