Jaun Eliya

apne sab yar kaam kar rahe hain

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
apne sab yaar kaam kar rahe haiñ
aur ham haiñ ki naam kar rahe haiñ
teġh-bāzī kā shauq apnī jagah
aap to qatl-e-ām kar rahe haiñ
dād-o-tahsīn kā ye shor hai kyuuñ
ham to ḳhud se kalām kar rahe haiñ
ham haiñ masrūf-e-intizām magar
jaane kyā intizām kar rahe haiñ
hai vo bechārgī kā haal ki ham
har kisī ko salām kar rahe haiñ
ek qattāla chāhiye ham ko
ham ye e.alān-e-ām kar rahe haiñ
kyā bhalā sāġhar-e-sifāl ki ham
nāf-pyāle ko jaam kar rahe haiñ
ham to aa.e the arz-e-matlab ko
aur vo ehtirām kar rahe haiñ
na uThe aah kā dhuāñ bhī ki vo
kū-e-dil meñ ḳhirām kar rahe haiñ
us ke hoñToñ pe rakh ke hoñT apne
baat hī ham tamām kar rahe haiñ
ham ajab haiñ ki us ke kūche meñ
be-sabab dhūm-dhām kar rahe haiñ
Top Urdushayar.com