Jaun Eliya

ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ab vo ghar ik vīrāna thā bas vīrāna zinda thā
sab āñkheñ dam toḌ chukī thiiñ aur maiñ tanhā zinda thā
saarī galī sunsān paḌī thī bād-e-fanā ke pahre meñ
hijr ke dālān aur āñgan meñ bas ik saaya zinda thā
vo jo kabūtar us mūkhe meñ rahte the kis des uḌe
ek kā naam navāzinda thā aur ik kā bāzinda thā
vo dopahr apnī ruḳhsat kī aisā-vaisā dhokā thī
apne andar apnī laash uThā.e maiñ jhūTā zinda thā
thiiñ vo ghar rāteñ bhī kahānī va.ade aur phir din ginnā
aanā thā jaane vaale ko jaane vaalā zinda thā
dastak dene vaale bhī the dastak sunñe vaale bhī
thā ābād mohalla saarā har darvāza zinda thā
piile pattoñ ko sah-pahr kī vahshat pursā detī thī
āñgan meñ ik auñdhe ghaḌe par bas ik kavvā zinda thā
Top Urdushayar.com