bad-dilī meñ be-qarārī ko qarār aayā to kyā
pā-piyāda ho ke koī shahsavār aayā to kyā
zindagī kī dhuup meñ murjhā gayā merā shabāb
ab bahār aa.ī to kyā abr-e-bahār aayā to kyā
mere tevar bujh ga.e merī nigāheñ jal ga.ī
ab koī ā.īna-rū ā.īna-dār aayā to kyā
ab ki jab jānāna tum ko hai sabhī par e'tibār
ab tumheñ jānāna pe jab e'tibār aayā to kyā
ab mujhe ḳhud apnī bāhoñ par nahīñ hai iḳhtiyār
haath phailā.e koī be-iḳhtiyār aayā to kyā
vo to ab bhī ḳhvāb hai bedār bīnā.ī kā ḳhvāb
zindagī meñ ḳhvāb meñ us ke guzār aayā to kyā
ham yahāñ haiñ be-gunāh so ham meñ se 'jaun-elia'
koī jiit aayā yahāñ aur koī haar aayā to kyā