kabhī kabhī to bahut yaad aane lagte ho
ki rūThte ho kabhī aur manāne lagte ho
gilā to ye hai tum aate nahīñ kabhī lekin
jab aate bhī ho to fauran hī jaane lagte ho
ye baat 'jaun' tumhārī mazāq hai ki nahīñ
ki jo bhī ho use tum āzmāne lagte ho
tumhārī shā.irī kyā hai burā bhalā kyā hai
tum apne dil kī udāsī ko gaane lagte ho
surūd-e-ātish-e-zarrīn-e-sahn-e-ḳhāmoshī
vo daaġh hai jise har shab jalāne lagte ho
sunā hai kāhkashānoñ meñ roz-o-shab hī nahīñ
to phir tum apnī zabāñ kyuuñ jalāne lagte ho