kū-e-jānāñ meñ aur kyā māñgo
hālat-e-hāl yak sadā māñgo
har-nafas tum yaqīn-e-mun.im se
rizq apne gumān kā māñgo
hai agar vo bahut hī dil nazdīk
us se duurī kā silsila māñgo
dar-e-matlab hai kyā talab-añgez
kuchh nahīñ vaañ so kuchh bhī jā māñgo
gosha-e-gīr-e-ġhubār-e-zāt huuñ meñ
mujh meñ ho kar mirā patā māñgo
munkirān-e-ḳhudā-e-baḳhshinda
us se to aur ik ḳhudā māñgo
us shikam-raqs-gar ke saa.il ho
nāf-pyāle kī tum atā māñgo
laakh janjāl māñgne meñ haiñ
kuchh na māñgo faqat duā māñgo