Jaun Eliya

nam hi kya nishan hi kya KHwab-o-KHayal ho gae

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
naam hī kyā nishāñ hī kyā ḳhvāb-o-ḳhayāl ho ga.e
terī misāl de ke ham terī misāl ho ga.e
sāya-e-zāt se bhī ram aks-e-sifāt se bhī ram
dasht-e-ġhazal meñ aa ke dekh ham to ġhazāl ho ga.e
kahte hī nashsha-hā-e-zauq kitne hī jazba-hā-e-shauq
rasm-e-tapāk-e-yār se rū-ba-zavāl ho ga.e
ishq hai apnā pā.edār terī vafā hai ustuvār
ham to halāk-e-varzish-e-farz-e-muhāl ho ga.e
jāda-e-shauq meñ paḌā qaht-e-ġhubār-e-kārvāñ
vaañ ke shajar to sar-ba-sar dast-e-savāl ho ga.e
saḳht zamīñ-parast the ahd-e-vafā ke pāsdār
uḌ ke bulandiyoñ meñ ham gard-e-malāl ho ga.e
qurb-e-jamāl aur ham aish-e-visāl aur ham
haañ ye huā ki sākin-e-shahr-e-jamāl ho ga.e
ham-nafasān-e-vaz.a-dār mustami.ān-e-burd-bār
ham to tumhāre vāste ek vabāl ho ga.e
kaun sā qāfila hai ye jis ke jaras kā hai ye shor
maiñ to niDhāl ho gayā ham to niDhāl ho ga.e
ḳhār-ba-ḳhār gul-ba-gul fasl-e-bahār aa ga.ī
fasl-e-bahār aa ga.ī zaḳhm bahāl ho ga.e
shor uThā magar tujhe lazzat-e-gosh to milī
ḳhuun bahā magar tire haath to laal ho ga.e
'jaun' karoge kab talak apnā misāliya talāsh
ab ka.ī hijr ho chuke ab ka.ī saal ho ga.e
Top Urdushayar.com