maiñ na Thahrūñ na jaan tū Thahre
kaun lamhoñ ke rū-ba-rū Thahre
na guzarne pe zindagī guzrī
na Thaharne pe chār-sū Thahre
hai mirī bazm-e-be-dilī bhī ajiib
dil pe rakkhūñ jahāñ subū Thahre
maiñ yahāñ muddatoñ meñ aayā huuñ
ek hañgāma kū-ba-kū Thahre
mahfil-e-ruḳhsat-e-hamesha hai
aao ik hashr-e-hā-o-hū Thahre
ik tavajjoh ajab hai samtoñ meñ
ki na bolūñ to guftugū Thahre
kaj-adā thī bahut umiid magar
ham bhī 'jaun' ek hīla-jū Thahre
ek chāk-e-barhñgī hai vajūd
pairahan ho to be-rafū Thahre
maiñ jo huuñ kyā nahīñ huuñ maiñ ḳhud bhī
ḳhud se baat aaj dū-badū Thahre
bāġh-e-jāñ se milā na koī samar
'jaun' ham to numū numū Thahre