Jaun Eliya

sham thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
shaam thī aur barg-o-gul shal the magar sabā bhī thī
ek ajiib sukūt thā ek ajab sadā bhī thī
ek malāl kā sā haal mahv thā apne haal meñ
raqs-o-navā the be-taraf mahfil-e-shab bapā bhī thī
sāme.a-e-sadā-e-jāñ be-sarokār thā ki thā
ek gumāñ kī dāstāñ bar-lab nīm-vā bhī thī
kyā mah-o-sāl mājrā ek palak thī jo miyāñ
baat kī ibtidā bhī thī baat kī intihā bhī thī
ek surūd-e-raushanī nīma-e-shab kā ḳhvāb thā
ek ḳhamosh tīrgī sāneha-āshnā bhī thī
dil tirā peshā-e-gila-e-kām ḳharāb kar gayā
varna to ek rañj kī hālat-be-gila bhī thī
dil ke muāmle jo the un meñ se ek ye bhī hai
ik havas thī dil meñ jo dil se gurez-pā bhī thī
bāl-o-par-e-ḳhayāl ko ab nahīñ samt-o-sū nasīb
pahle thī ik ajab fazā aur jo pur-fazā bhī thī
ḳhushk hai chashma-sār-e-jāñ zard hai sabza-zār-e-dil
ab to ye sochiye ki yaañ pahle kabhī havā bhī thī
Top Urdushayar.com