Jaun Eliya

aish-e-ummid hi se KHatra hai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
aish-e-ummīd hī se ḳhatra hai
dil ko ab dil-dahī se ḳhatra hai
hai kuchh aisā ki us kī jalvat meñ
hameñ apnī kamī se ḳhatra hai
jis ke āġhosh kā huuñ dīvāna
us ke āġhosh hī se ḳhatra hai
yaad kī dhuup to hai roz kī baat
haañ mujhe chāñdnī se ḳhatra hai
hai ajab kuchh mo.āmla darpesh
aql ko āgahī se ḳhatra hai
shahr-e-ġhaddār jaan le ki tujhe
ek amrohvī se ḳhatra hai
hai ajab taur hālat-e-girya
ki mizha ko namī se ḳhatra hai
haal ḳhush lucknow kā dillī kā
bas unheñ 'mus.hafī' se ḳhatra hai
āsmānoñ meñ hai ḳhudā tanhā
aur har aadmī se ḳhatra hai
maiñ kahūñ kis tarah ye baat us se
tujh ko jānam mujhī se ḳhatra hai
aaj bhī ai kanār-e-bān mujhe
terī ik sāñvlī se ḳhatra hai
un laboñ kā lahū na pī jā.ūñ
apnī tishna-labī se ḳhatra hai
'jaun' hī to hai 'jaun' ke darpai
'mīr' ko 'mīr' hī se ḳhatra hai
ab nahīñ koī baat ḳhatre kī
ab sabhī ko sabhī se ḳhatra hai
Top Urdushayar.com