Aslam Habeeb

subuk sa dard tha uThta raha jo zaKHmon se

Aslam Habeeb

subuk sā dard thā uThtā rahā jo zaḳhmoñ se
to ham bhī karte rahe chheḌ-chhāḌ ashkoñ se
sabhī ko zaḳhm-e-tamannā dikhā ke dekh liye
ḳhudā se daad milī aur na us ke bandoñ se
dhuāñ sā uThne lagā fikr-o-fan ke aivāñ meñ
lahū kī baas sī aane lagī hai sheroñ se
ab in se dekhiye kab manzileñ huvaidā hoñ
uThā ke laayā huuñ kuchh naqsh terī rāhoñ se
bilak rahā hai nigāhoñ meñ hasratoñ kā hujūm
laTak rahī haiñ patañgeñ udaas khamboñ se
ab aur kis se tire ġham kā tazkira karte
tamām-rāt rahī guftugū sitāroñ se
bas ek jast meñ aflāk se nikal jā.ūñ
phalāñg jā.ūñ zamīñ ko maiñ chaar qadmoñ se
Top Urdushayar.com