Asar Sahbai

meri har sans ko sab naghma-e-mahfil samajhte hain

Asar Sahbai

Sialkot, Punjab, Pakistan

1901-1963
mirī har saañs ko sab naġhma-e-mahfil samajhte haiñ
magar ahl-e-dil āvāz-e-shikast-e-dil samajhte haiñ
gumāñ kāshāna-e-rañgīñ kā hai jis par nigāhoñ ko
use ahl-e-nazar gard-e-rah-e-manzil samajhte haiñ
ilāhī kashti-e-dil bah rahī hai kis samundar meñ
nikal aatī haiñ maujeñ ham jise sāhil samajhte haiñ
tarab-añgez haiñ rañgīniyāñ fasl-e-bahārī kī
magar bulbul unheñ ḳhūn-e-rag-e-bismil samajhte haiñ
pighal kar dil lahū ho ho ke bah jaatā hai āñkhoñ se
sitam hai sham.a ko jo zīnat-e-mahfil samajhte haiñ
kahāñ hogā Thikānā barq-raftārī un kī vahshat kā
ki vo manzil ko bhī sañg-e-rah-e-manzil samajhte haiñ
bagūle uḌ rahe haiñ jo hamāre dasht-e-vahshat meñ
unhīñ ko ai 'asar' ham parda-e-mahmil samajhte haiñ
Top Urdushayar.com