lutf gunāh meñ milā aur na maza savāb meñ
umr tamām kaT ga.ī kāvish-e-ehtisāb meñ
tere shabāb ne kiyā mujh ko junūñ se āshnā
mere junūñ ne bhar diye rañg tirī shabāb meñ
aah ye dil ki jāñ-gudāz joshish-e-iztirāb hai
haa.e vo daur jab kabhī lutf thā iztirāb meñ
qalb taḌap taḌap uThā ruuh laraz laraz ga.ī
bijliyāñ thiiñ bharī huī zamzama-e-rubāb meñ
charḳh bhī mai-parast hai bazm-e-zamīñ bhī mast hai
ġharq-e-buland-o-past hai jalva-e-māhtāb meñ
mere liye ajiib haiñ terī ye muskurāhaTeñ
jaag rahā huuñ yā tujhe dekh rahā huuñ ḳhvāb meñ
mere sukūt meñ nihāñ hai mire dil kī dāstāñ
jhuk ga.ī chashm-e-fitna-zā Duub ga.ī hijāb meñ
lazzat-e-jām-e-jam kabhī talḳhi-e-zahr-e-ġham kabhī
ishrat-e-zīst hai 'asar' gardish-e-inqilāb meñ