Asar Sahbai

zulmat-e-dasht-e-adam mein bhi agar jaunga

Asar Sahbai

Sialkot, Punjab, Pakistan

1901-1963
zulmat-e-dasht-e-adam meñ bhī agar jā.ūñgā
le ke ham-rāh mah-e-dāġh-e-jigar jā.ūñgā
āriz-e-gul huuñ na maiñ dīda-e-bulbul gulchīñ
ek jhoñkā huuñ faqat san se guzar jā.ūñgā
ai fanā TuuT sakegī na kabhī kashti-e-umr
maiñ kisī aur samundar meñ utar jā.ūñgā
dekh jī bhar ke magar toḌ na mujh ko gulchīñ
haath bhī tū ne lagāyā to bikhar jā.ūñgā
ek qatra huuñ magar sail-e-mohabbat se tire
ho sake jo na samundar se bhī kar jā.ūñgā
duur gulshan se kisī dasht meñ le jā sayyād
ham-safīroñ ke tarānoñ meñ to mar jā.ūñgā
sehn-e-gulshan meñ ka.ī daam bichhe haiñ ai 'asar'
uḌ ke jā.ūñ bhī agar maiñ to kidhar jā.ūñgā
Top Urdushayar.com