Asar Sahbai

tumhaari furqat mein meri aankhon se KHun ke aansu Tapak rahe hain

Asar Sahbai

Sialkot, Punjab, Pakistan

1901-1963
tumhārī furqat meñ merī āñkhoñ se ḳhuuñ ke aañsū Tapak rahe haiñ
sip.har-e-ulfat ke haiñ sitāre ki shām-e-ġham meñ chamak rahe haiñ
ajiib hai soz-o-sāz-e-ulfat tarab-fazā hai gudāz-e-ulfat
ye dil meñ shole bhaḌak rahe haiñ ki laala o gul mahak rahe haiñ
bahār hai yā sharāb-e-rañgīñ nashāt-afroz kaif-āgīñ
guloñ ke sāġhar chhalak rahe haiñ guloñ pe bulbul chahak rahe haiñ
jahāñ pe chhāyā sahāb-e-mastī baras rahī hai sharāb-e-mastī
ġhazab hai rañg-e-shabāb-e-mastī ki rind o zāhid bahak rahe haiñ
magar 'asar' hai ḳhamosh o hairāñ havās gum chaak dāmāñ
laboñ pe aa.eñ nazar pareshāñ to ruḳh pe aañsū Tapak rahe haiñ
Top Urdushayar.com