Aslam Habeeb

kisi ki yaad ka saya tha ya ki jhonka tha

Aslam Habeeb

kisī kī yaad kā saayā thā yā ki jhoñkā thā
mire qarīb se ho kar koī to guzrā thā
ajab tilism thā us shahr meñ bhī ai logo
palak jhapakte hī apnā jo thā parāyā thā
mujhe ḳhabar ho jo apnī to tum ko likh bhejūñ
abhī to DhūñD rahā huuñ vo ghar jo merā thā
kisī ne muḌ ke na dekhā kisī ne daad na dī
lahūluhān laboñ par mire bhī naġhma thā
maiñ bach ke jaatā to kis samt kis jagah ki mujhe
kahīñ zamīñ ne kahīñ āsmāñ ne gherā thā
zarā pukār ke dekhūñ na un dayāroñ meñ
mirā ḳhayāl hai ik shaḳhs merā apnā thā
mahak lahū kī thī yā tere pairahan kī thī
mire badan se hayūlā sā ek lipTā thā
udaas ghaḌiyo zarā ye pata to de jaao
kahāñ gayā vo ḳhushī kā jo ek lamha thā
Top Urdushayar.com