Niyaz Fatehpuri

sirf ek larzish hai nok-e-Khaar par shabnam ki bund

Niyaz Fatehpuri

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1884-1966
sirf ik larzish hai nok-e-ḳhār par shabnam kī buuñd
phir bhī is fursat par us kī mujh ko rashk aa jaa.e hai
merī tanhā.ī na pūchho jaise koī naqsh-e-pā
duur sahrā ke kisī goshe meñ paayā jaa.e hai
sañg kyā hai bas sarāpā intizār-e-but-tarāsh
zindagī kā ḳhvāb logo yuuñ bhī dekhā jaa.e hai
shab kā vo pichhlā pahar aur phīkī phīkī chāñdnī
raat bas kar jaise koī haar kumhlā jaa.e hai
raat kī tanhā.iyāñ aur un kī aamad kā ḳhayāl
chāñd jaise ruuh ke andar se guzrā jaa.e hai
is sahī qad kā ḳhirām-e-nāz vo fitna hai jo
har qadam par ik na.e sāñche meñ Dhaltā jaa.e hai
ab ye hāl-e-dil hai jaise rakh ke kāñToñ par 'niyāz'
reshmī chādar ko bedardī se khīñchā jaa.e hai
Top Urdushayar.com