jab qafas meñ mujh ko yād-e-āshiyāñ aa jaa.e hai
sāmne āñkhoñ ke ik bijlī sī lahrā jaa.e hai
dil mirā vo ḳhāna-e-vīrāñ hai jal bujhne pe bhī
raakh se jis kī dhuāñ tā-der uThtā jaa.e hai
tum to Thukrā kar guzar jaao tumheñ Tokegā kaun
maiñ paḌā huuñ raah meñ to kyā tumhārā jaa.e hai
chashm-e-tar hai is taraf aur us tarf abr-e-bahār
dekhnā hai aaj kis se kitnā royā jaa.e hai
maiñ to bas ye jāntā huuñ is ko honā hai ḳharāb
kyā ḳhabar us kī mujhe dil aa.e hai yā jaa.e hai
merā pindār-e-ḳhudā.ī us ghaḌī dekhe koī
jab mujhe banda tirā kah kar pukārā jaa.e hai
ab vo kyā ā.eñge tum bhī aañkh jhapkā lo 'niyāz'
sub.h kā taara bhī ab to jhilmilātā jaa.e hai