taar kī jhankār hī se bazm tharrā jaa.e hai
gaahe gaahe sāz-e-hastī yuuñ bhī chheḌā jaa.e hai
qāfila chhūTe zamāna ho gayā lekin hanūz
yād-e-āvāz-e-jaras rah rah ke taḌpā jaa.e hai
ḳhud zamāna ruḳh hamārā dekhtā hai ham nahīñ
jis taraf muḌte haiñ ham dhārā bhī muḌtā jaa.e hai
sar jo gardan par nahīñ to kyā hathelī par sahī
manzil-e-ishq-o-junūñ se yūñhī guzrā jaa.e hai
ham kahāñ Duube the ye kal pūchiyegā aaj to
kuchh talātum sā abhī maujoñ meñ paayā jaa.e hai
aql vaalo kuchh kaho ye rishta-e-rāz-e-hayāt
kyuuñ ulajhtā jaa.e hai jitnā ki khultā jaa.e hai
aa rahā huuñ dosto Thahro magar ye to batāo
mujh ko kis goshe se sahrā ke pukārā jaa.e hai