dil kī imārat jhūTe jazboñ par ta.amīr nahīñ karnā
ḳhvāb adhūrā dekho to koī ta.abīr nahīñ karnā
phuul khileñ to havā meñ ḳhushbū ho hī jaatī hai tahlīl
dil kī bāteñ samho par un kī tafsīr nahīñ karnā
maañ kahtī hai ghuTtī jaltī rahnā pī lenā aañsū
sheroñ meñ bhī beTī apnā ġham tahrīr nahīñ karnā
nā sāhab ham se mat māñgo ahd-e-vafā in bātoñ par
jabr-o-sitam sahnā lekin koī tadbīr nahīñ karnā
jabr ke añdhiyāroñ meñ rahnā zulm kā sahnā hai taqsīr
dekho merī jaan 'ayāñ' tum ye taqsīr nahīñ karnā