Kabeer Athar

jo aam sa ek sawal puchha to kya kahenge

Kabeer Athar

Ahmad Pur Lamma, Punjab, Pakistan

1962
jo aam sā ik savāl pūchhā to kyā kaheñge
kisī ne ham se bhī haal pūchhā to kyā kaheñge
jo sar ke bal ḳhaak meñ gaḌe haiñ kisī ne un se
bulandiyoñ kā ma.aal pūchhā to kyā kaheñge
zamāne-bhar ko to ham ne ḳhāmosh kar diyā hai
jo dil ne bhī ik savāl pūchhā to kyā kaheñge
jinheñ hamāre lahū kī lat hai kisī ne un se
ḳhumār-e-rizq-e-halāl pūchhā to kyā kaheñge
jise ġhazal meñ barat ke ham daad pā chuke haiñ
kisī ne us dukh kā haal pūchhā to kyā kaheñge
agar ham us kī ḳhushī meñ ḳhush haiñ to dostoñ ne
javāz-e-hizn-o-malāl pūchhā to kyā kaheñge
ye ham jo auroñ ke dukh kā Thekā liye hue haiñ
kisī ne is kā ma.aal pūchhā to kyā kaheñge
jo apnī jāneñ bachā ke ḳhush haiñ 'kabīr' un se
kisī ne bastī kā haal pūchhā to kyā kaheñge
Top Urdushayar.com