Kabeer Athar

bigaDta zaKHm-e-hunar aashkara karna paDa

Kabeer Athar

Ahmad Pur Lamma, Punjab, Pakistan

1962
bigaḌtā zaḳhm-e-hunar āshkārā karnā paḌā
hameñ bhī daad kā marham gavārā karnā paḌā
bahut havas thī mujhe rizq-e-sher kī lekin
jo mil rahā thā usī par guzārā karnā paḌā
khaḌī thī mere liye āñsuoñ kī bārish meñ
so terī yaad se milnā gavārā karnā paḌā
maiñ is se kam pe zamāna murīd kar letā
ḳhayāl-e-ishq meñ jitnā tumhārā karnā paḌā
milā na ek bhī aañsū durūn-e-chashm mujhe
so muñh chhupā ke dukhoñ se kināra karnā paḌā
jo ḳhvāb niiñd se bhī chhup ke dekhtā thā maiñ
kisī kī aañkh se us kā nazāra karnā paḌā
nigāh-e-yār ne kuchh aise aib DhūñDh liye
tamām kār-e-mohabbat dobāra karnā paḌā
ab us safar kī sa.ūbat kā kyā kaheñ jis meñ
qadam qadam pe hameñ istiḳhāra karnā paḌā
sambhālī jaatī nahīñ raushnī zamīñ se 'kabīr'
supurd-e-ḳhāk ye kaisā sitāra karnā paḌā
Top Urdushayar.com