kabhī firāq kabhī lazzat-e-visāl meñ rakh
mujh e'tidāl se aarī ko e'tidāl meñ rakh
nachā rahā hai mujhe uñgliyoñ pe ishq tirā
tamām umr isī raqs-e-be-misāl meñ rakh
dukhī ho dil to utartī hai shā.irī mujh par
tujhe ġhazal kī qasam hai mujhe malāl meñ rakh
tū chāhtā hai agar kār-e-āfatāb karūñ
mirā uruuj mirī sā.at-e-zavāl meñ rakh
tire baġhair guzārī hai zindagī maiñ ne
tū is sitam kī talāfī bhī māh-o-sāl meñ rakh
tū dil hai aur dhḌaknā tirī ibādat hai
so ḳhud ko jism se bāhar bhī tū dhamāl meñ rakh
shikam se ho ke guzarte haiñ qaul-o-fe.al mire
mujh aise shaḳhs ko nān-o-namak ke jaal meñ rakh
mire badan ko bhale is se aag lag jaa.e
charāġh-e-harf magar mere baal baal meñ rakh
maiñ is azaab ke nashshe meñ mubtalā huuñ 'kabīr'
parā.ī aag uThā kar mirī sifāl meñ rakh