Kabeer Athar

ham-sae se talab karun pani ke baad kya

Kabeer Athar

Ahmad Pur Lamma, Punjab, Pakistan

1962
ham-sā.e se talab karūñ paanī ke ba.ad kyā
rahtā hai hosh naql-e-makānī ke ba.ad kyā
ye kaisī toḌ phoḌ hai shahr-e-vujūd meñ
ātañk mach gayā hai javānī ke ba.ad kyā
paanī ke paañv kāTne pe tul ga.e ho tum
dariyā meñ bach rahegā ravānī ke ba.ad kyā
bātoñ ke saath muñh se Tapakne lagā hai ḳhuuñ
mar jā.uñgā maiñ hijr-bayānī ke ba.ad kiyā
un ko batā.uñgā jinheñ hūroñ se ishq hai
dar-asl hogā ālam-e-fānī ke ba.ad kyā
maiñ dekhtā huuñ aañkh meñ ḳhvāboñ kī mayyateñ
tum dekhte ho ashk-fishānī ke ba.ad kyā
sheroñ pe zulm karte haiñ jo jānte nahīñ
karnā hai kaam misra-e-sānī ke ba.ad kyā
kyuuñ lafz lafz khodte ho sher ko 'kabīr'
shā.ir nikālnā hai ma.ānī ke ba.ad kyā
Top Urdushayar.com