apnī ḳhuddārī to pāmāl nahīñ kar sakte
us kā number hai magar kaal nahīñ kar sakte
siim jā.egā to phir naqsh ubhāreñge koī
kaam dīvār pe filhāl nahīñ kar sakte
rah bhī saktā hai tirā naam kahīñ likkhā huā
saare jañgal kī to paḌtāl nahīñ kar sakte
dost tasvīr bahut duur se khīñchī ga.ī hai
ham ujāgar ye ḳhad-o-ḳhāl nahīñ kar sakte
rotī āñkhoñ pe miyāñ haath to rakh sakte haiñ
pesh agar aap ko rūmāl nahīñ kar sakte
de na de kaam kī ujrat ye hai marzī us kī
pesha-e-ishq meñ haḌtāl nahīñ kar sakte
dasht aa.e jise vahshat kī talab ho 'nādir'
ye ġhizā shahr ham irsāl nahīñ kar sakte