Nadir Areez

meri jaan par ye patthar is liye bhaari ziyaada hai

Nadir Areez

1993
mirī jaañ par ye patthar is liye bhārī ziyāda hai
mohabbat kam tire lahje meñ ġham-ḳhvārī ziyāda hai
ye sab se muḳhtasar rasta hai is vaadī meñ jaane kā
magar is par safar karne meñ dushvārī ziyāda hai
ham apnī raah meñ dīvār ban jaate haiñ ḳhud aksar
hamārā mas.ala ye hai ki ḳhuddārī ziyāda hai
mohabbat ke qarīb aayā to andāza huā mujh ko
ki dilkash ghar se ghar kī chaar dīvārī ziyāda hai
abhī ye bahs 'nādir' vaqt kī chaukhaT pe rakhte haiñ
ye kal dekheñge kis kā kaam meyārī ziyāda hai
Top Urdushayar.com