Nadir Areez

nae mujrim hain puranon ki taraf dekhte hain

Nadir Areez

1993
na.e mujrim haiñ purānoñ kī taraf dekhte haiñ
muqtadī apne imāmoñ kī taraf dekhte haiñ
ḳhauf se bhaag khaḌe hote haiñ buzdil faujī
ham nadāmat se shahīdoñ kī taraf dekhte haiñ
itnā pyārā hai vo chehra ki nazar paḌte hī
log hāthoñ kī lakīroñ kī taraf dekhte haiñ
hijr raas aatā to kyuuñ karte tujhe yaad miyāñ
dhuup lagtī hai to chhāñv kī taraf dekhte haiñ
kyā ḳhasārā hai inheñ bachchoñ kā ghar basne meñ
ham ta.ajjub se buzurgoñ kī taraf dekhte haiñ
jin ko āsānī se dīdār mayassar hai tirā
vo kahāñ baaġh meñ phūloñ kī taraf dekhte haiñ
pahlā mauqa hai mohabbat kī taraf-dārī kā
kabhī us ko kabhī logoñ kī taraf dekhte haiñ
Top Urdushayar.com