ka.ī dinoñ tak nazar meñ rahne pe haañ karegī
vo pahlī koshish pe dil-kushāda kahāñ karegī
ḳhudā kī marzī batā rahā thā bichhaḌne vaalā
vo jāntā thā ki giilī lakḌī dhuāñ karegī
mujhe patā hai maiñ us kī nazroñ se gir gayā huuñ
mirī tavajjoh bhī ab use bad-gumāñ karegī
bichhaḌ ga.e dost to ġhalat-fahmiyāñ baḌheñgī
zamīñ pe bikhre tanoñ kā dīmak ziyāñ karegī
baġhair patvār mo.ajiza hogā paar lagnā
ye lahr par hai kidhar safīna ravāñ karegī
koī shagūfa tumhāre hañsne kā muntazir hai
kisī nazāre ko dhuup aa kar ayaañ karegī