Musarrat Hashmi

saba ka raaz bhi phulon ke darmiyan khula

Musarrat Hashmi

sabā kā raaz bhī phūloñ ke darmiyān khulā
us ek dar ke tavassut se gulsitān khulā
qafas meñ qaid parindoñ ke par nahīñ khulte
nazar ke sāmne lekin hai āsmān khulā
abhī to lafz bhī āvāz ke bhañvar meñ haiñ
abhī se kaise ma.ānī kā bādbān khulā
falak pe ghor ghaTā.eñ sarāb hone lagīñ
saroñ pe dhuup kā jis vaqt sā.ebān khulā
tamām shahar kī tanhā.iyāñ mukammal haiñ
koī bhī 'hāshmī' lagtā nahīñ makān khulā
Top Urdushayar.com