jab āsmāñ ne nanhe parindoñ ko par diye
zālim havā ne tiir bhī ham-rāh kar diye
is gulsitāñ se fāḳhta parvāz kar ga.ī
mausam ne shāḳh-sār bhī kāñToñ se bhar diye
har shaḳhs ahd-e-jabr meñ harf-e-duā huā
hoñToñ ko hādsāt ne kyā kyā hunar diye
apnī nigah ke ā.īne sūraj ko sauñp kar
ham ne bhī kā.enāt ko ā.īna-gar diye
phir āsmāñ ke auj se shabnam atā huī
phir merī pastiyoñ ne mujhe bahr-o-bar diye