vāpas jo nahīñ aa.egā meñ vo safarī huuñ
ai dost gale lag ki charāġh-e-saharī huuñ
ai husn ye andāz-o-adā tujh meñ kahāñ the
maiñ tere liye ā.īna-e-ishva-garī huuñ
baḌhtī huī tahrīk-e-siyāsat mujhe samjho
elān-e-baġhāvat pa.e bedād-garī huuñ
duniyā ke liye jo hai ujāloñ kā payambar
zulmat-kada-e-shab meñ vo najm-e-saharī huuñ
rangīnī-o-ḳhush-pairahnī hai mire dam se
gulshan meñ kalī tum meñ nasīm-e-saharī huuñ
hairat se na kyuuñ dekhe mujhe saarā zamāna
parvarda-e-āġhosh-e-kamāl-e-basharī huuñ
tum bhī ho adāoñ kī kashākash meñ giraftār
kyā fikr jo maiñ qaidī-e-āshufta-sarī huuñ