Rashid Aazar

chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai

Rashid Aazar

Hyderabad, Telangana, India

1931
chāhat tumhārī siine pe kyā gul katar ga.ī
kis ḳhush-salīqagī se jigar chaak kar ga.ī
rakkhī thī jo sambhāl ke tū ne salāmtī
vo tere ba.ad kis ko patā kis ke ghar ga.ī
jo zindagī sameT ke rakkhī thī aaj tak
ik lamha-e-ḳhafīf meñ yaksar bikhar ga.ī
bhaTke hue the aise ki gard-e-safar ko ham
muḌ muḌ ke dekhte rahe manzil guzar ga.ī
ik umr dhuup meñ jo palī thī vo kashmakash
saaya ghane daraḳht kā dekhā to Dar ga.ī
hairat hai kuchh patā na chalā kaise zindagī
jaisī guzarnī thī mirī vaisī guzar ga.ī
ochhoñ kī tab.a 'āzar'-e-ḳhush-ḳhū se pūchhiye
juuñ hī havā-e-vaqt lagī bas aphar ga.ī
Top Urdushayar.com