Shahid Zaki

zar-e-sarishk faza mein uchhaalta hua main

Shahid Zaki

1974
zar-e-sarishk fazā meñ uchhāltā huā maiñ
bikhar chalā huuñ ḳhushī ko sambhāltā huā maiñ
abhī to pahle paroñ kā bhī qarz hai mujh par
jhijak rahā huuñ na.e par nikāltā huā maiñ
kisī jazīra-e-pur-amn kī talāsh meñ huuñ
ḳhud apnī raakh samundar meñ Dāltā huā maiñ
phaloñ ke saath kahīñ ghoñsle na gir jaa.eñ
ḳhayāl rakhtā huuñ patthar uchhāltā huā maiñ
ye kis bulandī pe lā kar khaḌā kiyā hai mujhe
ki thak gayā huuñ tavāzun sambhāltā huā maiñ
vo aag phailī to sab kuchh siyāh raakh huā
ki so gayā thā badan ko ujāltā huā maiñ
bichhaḌ gayā huuñ ḳhud apne maqām se 'shāhid'
bhaTakne vāloñ ko raste pe Dāltā huā maiñ
Top Urdushayar.com