maiñ apne hisse kī tanhā.ī mahfil se nikālūñgā
jo lā-hāsil zarūrī hai to hāsil se nikālūñgā
mire ḳhuuñ se zyāda tū mirī miTTī meñ shāmil hai
tujhe dil se nikālūñgā to kis dil se nikālūñgā
mujhe ma.alūm hai ik chor darvāza aqab meñ hai
magar is baar maiñ rasta muqābil se nikālūñgā
shabīhoñ kī tarah qabreñ mujhe āvāz detī haiñ
maiñ aks-e-raftgāñ ā.īna-e-gul se nikālūñgā
hujum-e-sahl-añgārāñ mire hamrāh chaltā hai
maiñ jaise rāh-e-āsāñ rāh-e-mushkil se nikālūñgā
bharam sab khol ke rakh dūñgā masnūī mohabbat ke
koī taaza fasāna dasht-o-mahmil se nikālūñgā
tumheñ ab tairnā ḳhud siikh lenā chāhiye 'shāhid'
tumheñ kab tak maiñ girdāb-e-masā.el se nikālūñgā