kyā kahūñ kaise iztirār meñ huuñ
maiñ dhuāñ ho ke bhī hisār meñ huuñ
ab mujhe bolnā nahīñ paḌtā
ab maiñ har shaḳhs kī pukār meñ huuñ
jis ke aage hai ā.īna dīvār
maiñ bhī kirnoñ kī us qatār meñ huuñ
āhaToñ kā asar nahīñ mujh par
jaane maiñ kis ke intizār meñ huuñ
parda-poshī tirī mujhī se hai
tere āñchal ke taar taar meñ huuñ
tañg lagtī hai ab vo aañkh mujhe
dafn jaise kisī mazār meñ huuñ
mujhe meñ ik zalzala sā hai 'shāhid'
maiñ ka.ī din se intishār meñ huuñ