yaar bhī raah kī dīvār samajhte haiñ mujhe
maiñ samajhtā thā mire yaar samajhte haiñ mujhe
jaḌ ukhaḌne se jhukāv hai mirī shāḳhoñ meñ
duur se log samar-bār samajhte haiñ mujhe
kyā ḳhabar kal yahī tābūt mirā ban jaa.e
aap jis taḳht kā haqdār samajhte haiñ mujhe
nek logoñ meñ mujhe nek ginā jaatā hai
aur gunahgār gunahgār samajhte haiñ mujhe
maiñ to ḳhud bikne ko bāzār meñ aayā huā huuñ
aur dukāñ-dār ḳharīdār samajhte haiñ mujhe
maiñ badalte hue hālāt meñ Dhal jaatā huuñ
dekhne vaale adākār samajhte haiñ mujhe
vo jo us paar haiñ is paar mujhe jānte haiñ
ye jo is paar haiñ us paar samajhte haiñ mujhe
maiñ to yuuñ chup huuñ ki andar se bahut ḳhālī huuñ
aur ye log pur-asrār samajhte haiñ mujhe
raushnī bāñTtā huuñ sarhadoñ ke paar bhī maiñ
ham-vatan is liye ġhaddār samajhte haiñ mujhe
jurm ye hai ki in andhoñ meñ huuñ āñkhoñ vaalā
aur sazā ye hai ki sardār samajhte haiñ mujhe
laash kī tarah sar-e-āb huuñ maiñ aur 'shāhid'
Dūbne vaale madad-gār samajhte haiñ mujhe