bas ruuh sach hai baaqī kahānī fareb hai
jo kuchh bhī hai zamīnī zamānī fareb hai
rañg apne apne vaqt pe khulte haiñ aañkh par
avval fareb hai koī saanī fareb hai
saudāgarān-e-sho.alagī-e-shar ke dosh par
mushkīz-gāñ se jhāñktā paanī fareb hai
is ghūmtī zamīñ pe dobāra mileñge ham
hijrat farār naql-e-makānī fareb hai
dariyā kī asl tairtī lāshoñ se pochhiye
Thahrāv ek chaal ravānī fareb hai
ab shaam ho ga.ī hai to sūraj ko roiye
ham ne kahā na thā ki javānī fareb hai
bār-e-digar samay se kisī kā guzar nahīñ
ā.indagāñ ke haq meñ nishānī fareb hai
ilm ik hijāb aur havās aa.ine kā zañg
nisyān haq hai yād-dahānī fareb hai
tajsīm kar ki ḳhvāb kī duniyā hai jāvedāñ
taslīm kar ki ālam-e-fānī fareb hai
'shāhid' daroġh-goī-e-gulzār par na jā
titlī se pūchh rañg-fishānī fareb hai