bichhaḌ gayā thā koī ḳhvāb-e-dil-nashīñ mujh se
bahut dinoñ mirī āñkheñ judā rahīñ mujh se
maiñ saañs tak nahīñ letā parā.ī ḳhushbū meñ
jhijhak rahī hai yūñhī shāḳh-e-yāsmīñ mujh se
mire gunāh kī mujh ko sazā nahīñ detā
mirā ḳhudā kahīñ nārāz to nahīñ mujh se
ye shāhkār kisī zid kā shāḳhsāna hai
ulajh rahā thā bahut naqsh-e-avvalīñ mujh se
maiñ taḳht par huuñ magar yuuñ to ḳhāk-zāda hī
gurez karte haiñ kyuuñ boriyā-nashīñ mujh se
ujaḌ ujaḌ ke base haiñ mire dar-o-dīvār
bichhaḌ bichhaḌ ke mile haiñ mire makīñ mujh se
bikhar rahī hai tap-e-intiqām se mirī ḳhaak
guzar rahī hai koī mauj-e-ātishīñ mujh se
muhāl hai ki tamāshā tamām ho 'shāhid'
tamāsh-bīn se maiñ ḳhush tamāsh-bīñ mujh se