Shahid Zaki

zabt-e-gham hai meri poshak meri izzat rakh

Shahid Zaki

1974
zabt-e-ġham hai mirī poshāk mirī izzat rakh
ātish-e-dīda-e-namnāk mirī izzat rakh
khul na jaa.e ye mirī aks-farebī kisī din
ā.ina-ḳhāna-e-idrāk mirī izzat rakh
merī miTTī se charāġh-e-dar-o-dīvār banā
dar-ba-dar kar ke mirī ḳhaak mirī izzat rakh
partav-e-dāġh-e-guzishta ruḳh-e-fardā pe na Daal
gardish-e-sā.at-e-saffāk mirī izzat rakh
baḌī mushkil se banā.ī hai ye izzat maiñ ne
jazba-e-kār-e-havasnāk mirī izzat rakh
yā samundar se mirī ḳhaak judā kar 'shāhid'
yā banā de mujhe tairāk mirī izzat rakh
Top Urdushayar.com