Rashid Aazar

ye be-nawai hamari sauda-e-sar hai ghar mein basa diya hai

Rashid Aazar

Hyderabad, Telangana, India

1931
ye be-navā.ī hamārī saudā-e-sar hai ghar meñ basā diyā hai
makān ḳhālī hai lekin is ko nigār-ḳhāna banā diyā hai
tamām umr-e-azīz apnī isī tarah se gañvā.ī ham ne
kabhī jo so.e to ḳhvāb dekhā kisī ne ham ko jagā diyā hai
na kuchh rahā hai ki ham hī rakhte na kuchh bachā hai ki tum ko dete
matā-e-dil thī luTā ke aa.e jo qarz-e-jāñ thā chukā diyā hai
ye shaan dekho qalandaroñ kī hai jis pe dār-o-madār-e-hastī
vo āshiyāñ phūñk kar har ik shāḳh par nasheman banā diyā hai
ye zindagī kī sitam-zarīfī nahīñ to phir aur kyā hai 'āzar'
vo jin kī ḳhātir bhaTak rahe haiñ unhī ne ham ko bhulā diyā hai
Top Urdushayar.com